tir o kaman, KHanjar o talwar ban gae
dushman mila to hath bhi hathiyar ban gae
lafzon ke kaise kaise maani badal gae
kirdar-kush bhi sahab-e-kirdar ban gae
jab se koi usul-e-tijarat nahin raha
bazriyon ke nam pe bazar ban gae
qadghan ke bawajud kahan aa gaya hun main
darwaze mere samne diwar ban gae
us ki zaban pe harf the unwan ki tarah
afsane saikDon pas-e-izhaar ban gae
is qafile mein gard barabar thi jin ki zat
wapas hue to qafila-salar ban gae
KHat khinchte hue koi bachcha baDa hua
kal ke KHutut aaj ke shahkar ban gae
Ghazal
Tir o kaman, KHanjar o talwar ban gae
Mukhtar Javed