اردو हिंदी
Tir ki parwaz hai mashkiza-e-dil ki taraf | Shaahi Shayari
tir ki parwaz hai mashkiza-e-dil ki taraf

Ghazal

Tir ki parwaz hai mashkiza-e-dil ki taraf

Kavish Badri

;

tir ki parwaz hai mashkiza-e-dil ki taraf
ho ke ghayal phir bhi hum mail hain qatil ki taraf

go nahin pairak lekin hausla baDhne ka hai
mauj ki ek fauj saf-basta hai sahil ki taraf

har jagah hazir hun main apne misali tan ke sath
fasle aur waqt be-mani hain manzil ki taraf

jaisi apni ain hai utni hi apni dauD-dhup
qais mahmil ki taraf hum sham-e-mahfil ki taraf

saut-e-naqus-o-jaras ho ya azan ho ya jaras
rasta ek aur jata hai salasil ki taraf

jaise be-harf-o-nawa utri hai ilhami kitab
wo muKHatab hain usi andaz se dil ki taraf

baada-KHwaron mein bhi hum 'kawish' wali ban kar jiye
ruKH hamara tha tasawwuf ke masail ki taraf