اردو हिंदी
Tir jaise kaman se nikla | Shaahi Shayari
tir jaise kaman se nikla

Ghazal

Tir jaise kaman se nikla

Ghani Ejaz

;

tir jaise kaman se nikla
harf-e-haq tha zaban se nikla

qaid-e-hasti se chhuTne wala
waqt ke imtihan se nikla

Tik na paya hawa ke jhonkon mein
par shikasta uDan se nikla

sher aaya kachhaar se bahar
aur shoala machan se nikla

gham wo kanTa ki aaKHiri dam tak
dil ko chhoDa na jaan se nikla

jab ajal jhankti phiri ghar ghar
kaun zinda makan se nikla

zulmaton ka safir tha kya tha
saya ek saeban se nikla

maslahat rokti rahi 'ejaz'
tha jo dil mein zaban se nikla