tir jaise kaman ke aage
maut kuDel jawan ke aage
baadshah aur faqir donon the
shahr mein ek dukan ke aage
chalte chalte zamin ruk si gai
na-gahan ek makan ke aage
hum bhi apna mujassama rakh aae
raat andhi chaTan ke aage
tasht-e-jaan mein saja ke rakhna tha
harf-e-dil mehman ke aage
kya ajab shaKHs hai ki baiTha hai
dhup mein saeban ke aage
hum kisi ko gawah kya karte
is khule aasman ke aage
kab talak jhuT bolte sahib
is tarah KHandan ke aage
kaun kahta 'rasa' KHuda-lagti
aise kafir guman ke aage
Ghazal
Tir jaise kaman ke aage
Rasa Chughtai