tir jab apni kamanon se nikal jate hain
kuchh parinde bhi uDanon se nikal jate hain
jaane kis rah pe kuchh bhuk se sahme bachche
raat ko apne makanon se nikal jate hain
zarf ki baat na kar phuT paDen to lawe
KHud pahaDon ke dahanon se nikal jate hain
hum bhi kya log hain ek ghar ko banane ke liye
kis qadar dur gharanon se nikal jate hain
zabt miT jae to alfaz baghawat ban kar
kitni KHamosh zabanon se nikal jate hain
wo to hote hain faqat waqt-guzari ke liye
log jo yaad ke KHanon se nikal jate hain
kitne nadan hain jo log nazar se gir kar
dil ke mahfuz KHazanon se nikal jate hain

Ghazal
Tir jab apni kamanon se nikal jate hain
Naqqash Abidi