tir-e-qatil ka ye ehsan rah gaya
ja-e-dil sina mein paikan rah gaya
ki zara dast-e-junun ne kotahi
chaak aa kar ta-ba-daman rah gaya
do qadam chal kar tere wahshi ke sath
jada-e-rah-e-bayaban rah gaya
qatl ho kar bhi subukdoshi kahan
tegh ka gardan pe ehsan rah gaya
hum to pahunche bazm-e-jaanan tak magar
shikwa-e-bedad-e-darban rah gaya
kya qayamat hai ki ku-e-yar se
hum to nikle aur arman rah gaya
dusron par kya khule raaz-e-dahan
jabki KHud sane se pinhan rah gaya
jazba-e-dil ka zara dekho asar
tir nikla bhi to paikan rah gaya
jama-e-hasti bhi ab tan par nahin
dekh wahshi tera uryan rah gaya
zoaf marne bhi nahin deta mujhe
main ajal se bhi to pinhan rah gaya
ai junun tujh se samajh lunga agar
ek bhi tar-e-gareban rah gaya
husn chamka yar ka ab aaftab
ek charagh-e-zer-e-daman rah gaya
log pahunche manzil-e-maqsud tak
main jaras ki tarah nalan rah gaya
yaad rakhna dosto is bazm mein
aa ke 'shibli' bhi ghazal-KHwan rah gaya
Ghazal
Tir-e-qatil ka ye ehsan rah gaya
Shibli Nomani