اردو हिंदी
Tir-e-nazar se chhid ke dil-afgar hi raha | Shaahi Shayari
tir-e-nazar se chhid ke dil-afgar hi raha

Ghazal

Tir-e-nazar se chhid ke dil-afgar hi raha

Agha Hajju Sharaf

;

tir-e-nazar se chhid ke dil-afgar hi raha
nasur us mein surat-e-sofar hi raha

duniya se hai nirali adalat hasinon ki
fariyaad jis ne ki wo gunahgar hi raha

saudaiyon ki bhiD koi dam na kam hui
har waqt ghar mein yar ke bazar hi raha

nargis jo us masih ki nazron se gir gai
achchhe na phir hue use aazar hi raha

gulzar mein hamesha kiye hum ne chahchahe
sayyaad o baghban ko sada KHar hi raha

aai na dekhne mein bhi taswir yar ki
aaina darmiyan mein diwar hi raha

surme se tur ke bhi na kuchh faeda hua
aankhon ko intizar ka aazar hi raha

majnun ne mera dagh-e-jigar sar pe rakh liya
ye gul wo hai jo turra-e-dastar hi raha

kuchh bhi na mufsidon ki darandaziyan chalin
ek uns mujh se un se jo tha pyar hi raha

bole wo meri qabr jharoke se jhank kar
ye shaKHs mar ke bhi pas-e-diwar hi raha

mumkin na phir hui qafas-e-gor se najat
jo is mein phans gaya wo giraftar hi raha

aalam mein husn-o-ishq ka afsana rah gaya
yusuf hi rah gae na KHaridar hi raha

sayyaad ko kabhi na musibat ne di najat
bulbul ke sabr mein ye giraftar hi raha

kya jaane us gharib ko kis ki nazar hui
un ankhDiyon ka shefta bimar hi raha

tu rah gaya faqat tere saudai rah gae
yusuf rahe na misr ka bazar hi raha

rahat kisi hasin se bhi pai na ai 'sharaf'
chaha jise wo dar-pae-azar hi raha