tir chille pe na aana ki KHata ho jaana
lab tak aate hue shikwe ka dua ho jaana
yaad hai us but-e-kafir ka KHafa ho jaana
aur mera bhul ke mail-ba-dua ho jaana
hairat-angez hai naqqash-e-azal ke hathon
meri taswir ka taswir-e-fana ho jaana
dast-e-taqdir mein shamshir-e-jafa dena hai
KHud-ba-KHud banda-e-taslim-o-raza ho jaana
us ki uftad pe KHurshid ki rifat qurban
jis ko bhaya tera naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana
raunaq-e-bazm hai shewan se to shewan hi sahi
ham-safiran-e-chaman phir na KHafa ho jaana
dawar-e-hashr ka insaf ishaare un ke
bas yahi hai kisi bande ka KHuda ho jaana
Ghazal
Tir chille pe na aana ki KHata ho jaana
Hafeez Jalandhari