tir barse kabhi KHanjar aae
ye maqamat bhi akasr aae
shahr mein aag lagi hai apne
jo bhi aae wo sambhal kar aae
phir tabahi ki taraf hai duniya
phir zarurat hai payambar aae
wo to rahzan ke bhi rahzan nikle
hum to samjhe the ki rahbar aae
shahr mein jab koi hangama hua
log kuchh bhes badal kar aae
aap chup rahe ke bhale ban baiThe
sare ilzam hamin par aae
Ghazal
Tir barse kabhi KHanjar aae
Anjana Sandhir