tir-andazon ko andaza nahin
zad mein aana tha jise aaya nahin
kuchh tasawwur kuchh tawaqqo kuchh guman
ye bhi kya KHwabon ka KHamyaza nahin
sari basti mein faqat ek teri zat
qibla-o-kaba sahi kaba nahin
jis hawa mein tu hai aaqa-e-chaman
koi bhi jhonka wahan taza nahin
dhul ki aaankhon mein ja hoti nahin
panw mein lagta kabhi surma nahin
hai khaDa sahil pe lahron se pare
par jaane par wo aamada nahin
chahta hai tu jo tazin-e-wafa
phul la kanTon ka gul-dasta nahin
apne dil mein aap hi rahta hai wo
dusra kya us mein rah sakta nahin
aasman KHamosh ho aur log chup
der tak ye silsila chalta nahin
Ghazal
Tir-andazon ko andaza nahin
Absar Abdul Ali