Thokaren khaiye patthar bhi uThate chaliye
aane walon ke liye rah banate chaliye
apna jo farz hai wo farz nibhate chaliye
gham ho jis ka bhi use apna banate chaliye
kal to aaega magar aaj na aaega kabhi
KHwab-e-ghaflat mein jo hain un ko jagate chaliye
azm hai dil mein to manzil bhi koi dur nahin
samne aae jo diwar giraate chaliye
nafraten fasle kuchh aur baDha deti hain
git kuchh pyar ke in rahon mein gate chaliye
rah-e-dushwar hai be-saya shajar hain sare
dhup hai sar pe qadam tez baDhate chaliye
kaam ye ahl-e-jahan ka hai sunen ya na sunen
apna paigham zamane ko sunate chaliye
dil mein soe hue naghmon ko jagana hai agar
meri aawaz mein aawaz milate chaliye
raste jitne hain sab jate hain manzil ki taraf
shart-e-manzil hai magar jhumte gate chaliye
kuchh mile ya na mile apni wafaon ka sila
daman-e-rasm-e-wafa apna baDhate chaliye
yun hi shayad dil-e-viran mein bahaar aa jae
zaKHm jitne milen sine pe sajate chaliye
jab talak hath na aa jae kisi ka daman
dhajjiyan apne gireban ki uDate chaliye
shauq se likhiye fasana magar ek shart ke sath
is fasane se mera nam miTate chaliye
aaj ke daur mein 'naushad' yahi behtar hai
is bure daur se daman ko bachate chaliye
Ghazal
Thokaren khaiye patthar bhi uThate chaliye
Naushad Ali