Thokaren kha ke sambhalna nahin aata hai mujhe
chal mere sath ki chalna nahin aata hai mujhe
apni aankhon se baha de koi mere aansu
apni aankhon se nikalna nahin aata hai mujhe
ab teri garmi-e-aghosh hi tadbir kare
mom ho kar bhi pighalna nahin aata hai mujhe
sham kar deta hai aksar koi zulfon wala
warna wo din hun ki Dhalna nahin aata hai mujhe
kitne dil toD chuka hun isi be-hunari se
jal mein phans ke nikalna nahin aata hai mujhe
beach dariya ke main dariya to badal sakta hun
apni kashti ko badalna nahin aata hai mujhe
apne mani ko badalna to mujhe aata hai
in ke lafzon ko badalna nahin aata hai mujhe
'farhat-ehsas' taraqqi nahin karni mujh ko
itni raftar se chalna nahin aata hai mujhe
Ghazal
Thokaren kha ke sambhalna nahin aata hai mujhe
Farhat Ehsas