اردو हिंदी
Thokar se faqiron ki duniya ka bikhar jaana | Shaahi Shayari
Thokar se faqiron ki duniya ka bikhar jaana

Ghazal

Thokar se faqiron ki duniya ka bikhar jaana

Afroz Alam

;

Thokar se faqiron ki duniya ka bikhar jaana
KHwahish ka laraz jaana asbab ka Dar jaana

aakash ke mathe pe jadu ka sabab ye hai
taron ka chamak jaana chanda ka nikhar jaana

aa tujh ko bata dun main achchhi si ghazal kya hai
afkar ke sanche mein lafzon ka utar jaana

iqrar-e-mohabbat ki nazuk si dalilen hain
aankhon mein chamak aana zulfon ka sanwar jaana

be-rabt dalilen hain us shoKH ki baaton mein
kuchh der talak kahna phir kah ke mukar jaana

duniya jise kahti hai wo nil-kamal tum ho
har jhil ko jachta hai tera khil ke ubhar jaana

tum meri zarurat ho 'alam' yahi kahta hai
is baat ka matlab hai tere bin mera mar jaana