thoDi si income ki KHatir be-chaaron ko mar diya
chand DakTron ki haDtalon ne bimaron ko mar diya
america mein T-V-chanel chupke se dar aae the
chal nikle to urdu ke sab aKHbaron ko mar diya
abba-ji ke business se har beTe ne munh pher liya
kursi ki lalach ne kitne lohaaron ko mar diya
har tali par note nichhawar har lai par london ka ticket
lalu-khet ke qawwalon ne fankaron ko mar diya
masnui baalon ka thappaD kafi bhaari hota hai
us ki zulfon ne hil hil ke ruKHsaron ko mar diya
ek wazir-e-azam hai ek bhai wazir-e-ala hai
jamhuri dawedaron ne haq-daron ko mar diya
maghrib ki tahzib ka hamla ab ke itna kari hai
jeans ko sasta kar ke us ne shalwaron ko mar diya
jitne bhi dil-phenk the shaer U-S mein aabaad hue
night-kalbon ki raunaq ne bechaaron ko mar diya
mazduri par jata hun to sher sisakte rahte hain
dollar ki KHwahish ne mere fan-paron ko mar diya
Ghazal
ThoDi si income ki KHatir be-chaaron ko mar diya
Khalid Irfan