thoDi der ko ji bahla tha
phir teri yaad ne gher liya tha
yaad aai wo pahli barish
jab tujhe ek nazar dekha tha
hare gilas mein chand ke TukDe
lal surahi mein sona tha
chand ke dil mein jalta suraj
phul ke sine mein kanTa tha
kaghaz ke dil mein chingari
KHas ki zaban par angara tha
dil ki surat ka ek patta
teri hatheli par rakkha tha
sham to jaise KHwab mein guzri
aadhi raat nasha TuTa tha
shahr se dur hare jangal mein
barish ne hamein gher liya tha
subh hui to sab se pahle
main ne tera munh dekha tha
der ke baad mere aangan mein
surKH anar ka phul khila tha
der ke murjhae peDon ko
KHushbu ne aabaad kiya tha
sham ki gahri unchai se
hum ne dariya ko dekha tha
yaad aain kuchh aisi baaten
main jinhen kab ka bhul chuka tha
Ghazal
ThoDi der ko ji bahla tha
Nasir Kazmi