اردو हिंदी
ThoDi chandi thoDa gara lagta hai | Shaahi Shayari
thoDi chandi thoDa gara lagta hai

Ghazal

ThoDi chandi thoDa gara lagta hai

Iliyas Babar Aawan

;

thoDi chandi thoDa gara lagta hai
tab ja kar aaina pyara lagta hai

fursat ke lamhat kamane ki KHatir
achchha-KHasa waqt hamara lagta hai

main dariya ke wahshi-pan se waqif hun
mere ghar ke sath kinara lagta hai

un se hi singhaar ki chizen banti hain
jin peDon ke jism pe aara lagta hai

hum donon ne raat guzari aaankhon mein
aaina bhi hijr ka mara lagta hai