اردو हिंदी
ThoDa sa zindagi ka KHasara zarur hai | Shaahi Shayari
thoDa sa zindagi ka KHasara zarur hai

Ghazal

ThoDa sa zindagi ka KHasara zarur hai

Mayank Awasthi

;

thoDa sa zindagi ka KHasara zarur hai
par gham ne dil ka rang nikhaara zarur hai

mahtab phir raha hai KHalaon mein is tarah
jaise ki aasman ka kinara zarur hai

aalam mein dekhiye to koi bhi KHuda nahin
aalam KHuda ki samt ishaara zarur hai

hum ko yaqin hai aap ko dil ki kitab mein
ek an-likhe sa nam hamara zarur hai

kya jaaniye wo shoKH samundar hai ya sarab
jo bhi ho tishnagi ka sahaara zarur hai

waise meri zaban pe koi aur lafz tha
par dost kah ke tujh ko pukara zarur hai

kuchh sher kah ke hum ko guman ye hua 'mayank'
ek aasman zamin pe utara zarur hai