thoDa sa muskura ke nigahen milaiye
mujh ko meri hayat ka maqsad bataiye
mujh se bhi kuchh huzur talluq tha aap ka
yun be-murawwati se na daman chhuDaiye
shayad kisi maqam pe main kaam aa sakun
mujh ko bhi sath lijiye tanha na jaiye
guzrega is taraf se bhi ek din hujum-e-gul
har-chand aap rah mein kanTe bichhaiye
'nasir' udasiyan to rahengi yunhi mudam
Dhalne lagi hai raat koi git gaiye
Ghazal
ThoDa sa muskura ke nigahen milaiye
Nasir Zaidi