اردو हिंदी
Thirakti lau ki bas ek aaKHiri dua sunta | Shaahi Shayari
thirakti lau ki bas ek aaKHiri dua sunta

Ghazal

Thirakti lau ki bas ek aaKHiri dua sunta

Mohsin Ehsan

;

thirakti lau ki bas ek aaKHiri dua sunta
phir us ke baad na kuchh mauja-e-hawa sunta

mujhe bhi lagti kuchh aasan manzil-e-dushwar
jo dusron ki sada-e-naqush-e-pa sunta

kuchh is qadar bhi zamane mein qaht-e-harf na tha
wo aashna tha to aawaz-e-ashna sunta

ba-juz zaKHira-e-auham pas kuchh bhi nahin
ye baat kash wo girwida-e-ana sunta

use pukar chuka zindagi mein haar chuka
mera KHuda tha to phir meri iltija sunta

hum ek umr se 'mohsin' KHumar-e-KHwab mein hain
hamari baat zamane mein koi kya sunta