Thik hai ujli yaad ka rishta apne dil se TuTa bhi
dariya dariya aag ugalta lekin tum ne dekha bhi
mere safar ki pahli manzil jaane kab tak aaegi
hanp raha hai sadiyon purana buDha nanga rasta bhi
shor sharaba andar andar bahar gahri KHamoshi
jag uThega ab ke shayad koi baghi lamha bhi
sagar moti sip ke qisse baaton tak mahdud rahe
jholi jholi KHali sab ki sab ka man hai maila bhi
mausam mausam yaad mein teri tanha hum ne kaT diye
ek lamhe ke mel ka rishta sach hai koi rishta bhi
pahle din se rit hai ye to phir in mein pachhtana kya
pyar wafa ke khel mein 'arif' ho jata hai dhoka bhi
Ghazal
Thik hai ujli yaad ka rishta apne dil se TuTa bhi
Syed Arif