thi ye ummid ki wo lauT ke ghar aaega
kya KHabar thi ki ba-andaz-e-digar aaega
kai zaKHmon ke khanDar ab bhi hain mere dil par
jab kuredoge naya rang ubhar aaega
muskuraegi jab aankhon mein sitaron ki laDi
aaina ban ke hasin KHwab nazar aaega
jab bhi lahraegi palkon pe teri yaad ki sham
dil ki wadi mein naya chand utar aaega
dil ki rahon ka muqaddar hai sarabon ka safar
jo bhi aaega yahan KHak-basar aaega
sang baron ki ye basti hai yahan ai shahin
kaun hai le ke jo shishe ka jigar aaega
Ghazal
Thi ye ummid ki wo lauT ke ghar aaega
Salma shaheen