اردو हिंदी
Thi wasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab | Shaahi Shayari
thi wasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab

Ghazal

Thi wasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab

Momin Khan Momin

;

thi wasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab
wo aae to bhi nind na aai tamam shab

wan tana tir-e-yar yahan shikwa zaKHm-rez
baham thi kis maze ki laDai tamam shab

rangin hain KHun-e-sar se wo hath aaj-kal rahe
jis hath mein wo dast-e-hinai tamam shab

talu se yan zaban sahar tak nahin lagi
tha kis ko shughl-e-naghma-e-sarai tamam shab

yak bar dekhte hi mujhe ghash jo aa gaya
bhule the wo bhi hosh-ruhai tamam shab

mar jate kyun na subh ke hote hi hijr mein
taklif kaisi kaisi uThai tamam shab

garm-e-jawab-e-shikwa-e-jaur-e-adu raha
us shola-KHu ne jaan jalai tamam shab

kahta hai mehr-wash tumhein kyun ghair gar nahin
din bhar hamesha wasl judai tamam shab

dhar panw aastan pe ki is aarzu mein aah
ki hai kisi ne nasiya-sai tamam shab

'momin' main apne nalon ke sadqe ki kahte hain
un ko bhi aaj nind na aai tamam shab