thi to sahi par aaj se pahle aisi haqir faqir na thi
dil ki sharafat zehn ki jaudat itni baDi taqsir na thi
sach kahte ho hum aise kahan aur soz-o-gudaz-e-ishq kahan
sach hai mere aaina-e-dil mein koi kabhi taswir na thi
ab jo uchaT hui hai tabiat shayad ab hum ruKHsat hain
bin-karan be-baat wagarna aisi kabhi dil-gir na thi
ahl-e-junun ko fasl-e-KHizan se ab ke bhi go na rabt raha
ab ke bahaar wo aai ki jis ki bu-e-gul bhi safir na thi
aaKHir ghairat ne samjhaya nau-midana zist karen
baqi har tadbir to ki jo apne KHilaf-e-zamir na thi
Ghazal
Thi to sahi par aaj se pahle aisi haqir faqir na thi
Mukhtar Siddiqui