thi siyahiyon ka maskan meri zindagi ki wadi
tere husn ke tasadduq mujhe raushni dikha di
tera gham sama gaya hai mere dil ki dhaDkanon mein
koi aish jab bhi aaya mere dil ne bad-dua di
jo zara bhi nind aai kabhi ahl-e-karwan ko
wahi ban gae luTere jo bane hue the hadi
wo kabhi na ban saki hai wo kabhi na ban sakegi
kisi dil ki jo imarat teri be-ruKHi ne Dha di
ye kabhi kabhi inayat hai ba-manzil-e-siyasat
ki jafaen sahne wala kahin ho na jae aadi
hamein aaKHirat mein 'amir' wahi umr kaam aai
jise kah rahi thi duniya gham-e-ishq mein ganwa di
Ghazal
Thi siyahiyon ka maskan meri zindagi ki wadi
Amir Usmani