اردو हिंदी
Thi nind meri magar usMein KHwab us ka tha | Shaahi Shayari
thi nind meri magar usMein KHwab us ka tha

Ghazal

Thi nind meri magar usMein KHwab us ka tha

Wazir Agha

;

thi nind meri magar us mein KHwab us ka tha
badan mera tha badan mein azab us ka tha

safine chand KHushi ke zarur apne the
magar wo sail-e-gham-e-be-hisab us ka tha

diye bujhe to hawa ko kiya gaya badnam
qusur hum ne kiya ehtisab us ka tha

ye kis hisab se ki tu ne raushni taqsim
sitare mujh ko mile mahtab us ka tha

falak pe kirchiyan aankhon mein motiya aansu
jo reza reza hua aaftab us ka tha

meri zara si chamak ko kaDak ne Tok diya
sawal tujh se kiya tha jawab us ka tha

khuli kitab thi phulon-bhari zamin meri
kitab meri thi rang-e-kitab us ka tha