thi chhoTi us ke mukhDe par kal zulf-e-musalsal aur tarah
phir dekha aaj to us gul ke the kakul ke bal aur tarah
wo dekh jhiDakta hai hum ko kar ghussa har dam aur hamein
hai chain usi ke milne se zinhaar nahin kal aur tarah
malum nahin kya baat kahi ghammaz ne us se jo hum se
thin pahli baaten aur namat ab bole hai chanchal aur tarah
dil mujh se us ke milne ko kahta hai to us ke pas mujhe
jab le pahuncha tha bhes badal phir ab ke le chal aur tarah
hai kitne dinon se ishq 'nazir' us yar ka hum ko jis ki hain
subh aur biran sham aur phaban aaj aur duwah kal aur tarah
Ghazal
Thi chhoTi uske mukhDe par kal zulf-e-musalsal aur tarah
Nazeer Akbarabadi