thi ajab hi dastan jab tamam ho gai
ek misal ban gai ek payam ho gai
raat jab jawan hui jab diyon ke sar uThe
tab hawa bhi aur kuchh tez-gam ho gai
ek bas nazar paDi us ke baad yun hua
main ne jo ghazal likhi tere nam ho gai
miT rahi thi tishnagi baDh rahi thi dosti
phir ana ki tegh kyun be-niyam ho gai
falsafe ko chhoDiye kya kahenge sochiye
zindagi jo aap se ham-kalam ho gai
tanz to bahut hue par ajib baat hai
rah jo hamari thi rah-e-am ho gai
kaisi umda qaum thi kya hi zinda qaum thi
aaKHir us ko kya hua kyun ghulam ho gai
jam-e-ishq pi chuke zindagi bhi ji chuke
ab 'hilal' ghar chalo ab to sham ho gai
Ghazal
Thi ajab hi dastan jab tamam ho gai
Hilal Fareed