اردو हिंदी
Thi abhi subh abhi sham hui jati hai | Shaahi Shayari
thi abhi subh abhi sham hui jati hai

Ghazal

Thi abhi subh abhi sham hui jati hai

Jameel Mazhari

;

thi abhi subh abhi sham hui jati hai
zindagi gardish-e-ayyam hui jati hai

zindagi mohlat-e-taufiq-e-KHum-ashami thi
zindagi fursat-e-yak-jam hui jati hai

zindagi tair-e-sahra thi ba-shauq-e-parwaz
zindagi said-e-tah-e-dam hui jati hai

zindagi Dal rahi thi jo sitaron pe kamand
ab tamasha-e-lab-e-baam hui jati hai

zindagi ye hai ki ba-in-hama-sauda-e-safar
zindagi hasrat-e-yak-gam hui jati hai

zindagi ye hai ki jis ret pe jalte the qadam
ab wahi bistar-e-aram hui jati hai

zindagi ye hai ki soya tha musafir thak kar
so ke uTTha hai to ab sham hui jati hai

'mazhari' fan ka taqaza hai ki likhiye kuchh aur
ye ghazal koshish-e-nakaam hui jati hai