thi aasman pe meri chaDhai tamam raat
phenka kiya hun tir-e-hawai tamam raat
wo mai-parast hun ki na pai agar sharab
ki KHun-e-dil se kar-rawai tamam raat
ham-KHana-e-adu hai mubarak rahe use
jhagDa tamam rose laDai tamam raat
kya KHush raha main dost ki taswir jaan kar
thi kal jo mah ki jalwa-numai tamam raat
bikhri rahi hai shab mere bazu pe zulf-e-yar
karta raha hun ghaaliya-sai tamam raat
baDhta raha badan mein mere dam-ba-dam lahu
sine pe tha wo dast-e-hinai tamam raat
tha mere hausle se ziyaada gham-e-firaq
ek dastan us ko sunai tamam raat
sharm-e-sitam ne wasl mein kaisa sitam kiya
shakl us ne kal mujhe na dikhai tamam raat
sachche hain apne wade ke aate wo KHwab mein
'nazim' mujhi ko nind na aai tamam raat

Ghazal
Thi aasman pe meri chaDhai tamam raat
Syed Yusuf Ali Khan Nazim