the sab ke hath mein KHanjar sawal kya karta
main be-gunahi ka apni malal kya karta
usi ke ek ishaare pe qatl-e-am hua
amir-e-shahr se main arz-e-haal kiya karta
main qatilon ki nigahon se bach ke bhag aaya
ki mere sath the mere ayal kya karta
dharam ke nam par insaniyat ki nasl-kushi
zamana aisi bhi qaem misal kya karta
jale makan jale jism jal-bujha sab kuchh
wo is se baDh ke hamein paemal kya karta
baTe hue hain hami apne apne KHanon mein
hamara warna koi aisa haal kya karta
Ghazal
The sab ke hath mein KHanjar sawal kya karta
Noor muneeri