the mere zaKHmon ke aaine tamam
dagh-dagh aae nazar sine tamam
sab nazar aate hain chehre gard gard
kya hue be-ab aaine tamam
ek manzil aur hai ek jast aur
aadmi tai kar chuka zine tamam
maut le kar ek aandhi aai thi
kho diye insan basti ne tamam
tazgi chehre pe ab to laiye
pi liya hai zahr 'kaifi' ne tamam
Ghazal
The mere zaKHmon ke aaine tamam
Haneef Kaifi