ThanDi hai ya garm hawa hai
us ko kya is ki parwa hai
kitni gahri KHamoshi hai
kitna gahra sannaTa hai
hai darpesh masafat kaisi
ek zamana hanp raha hai
jangal to tai kar aae hain
aage ek sahra paDta hai
agle pal kiya jaane kya ho
ab to yahi dhaDka rahta hai
koi nahin hai sath tumhaare
apne hi qadmon ki sada hai
kaun hai wo KHush-qismat dekhen
jis ko sabr ka ajr mila hai
yar 'sukun' shikayat kaisi
tera apna kiya dhara hai
Ghazal
ThanDi hai ya garm hawa hai
Sultan Sukoon