tham zara waqt-e-ajal didar-e-jaan hone laga
aaKHiri hichki pe koi mehrban hone laga
kis sitamgar ne uDa li yaad-e-mazi ki bayaz
har gali har moD par qissa bayan hone laga
jaane kis gul ne chaman ki hurmaten pamal kin
mausam-e-fasl-e-bahaaran bhi KHizan hone laga
dafn kar ke qabr mein jab ja chuke ahbab dost
jo kabhi socha na tha wo imtihan hone laga
dast-o-pa shal ho gae hain quwwaten zail huin
zindagani ka safar aage rawan hone laga
KHwahishon ki chah mein KHusran ke saude kiye
manfat samjha jise aaKHir ziyan hone laga
koi wada aaj tak ifa nahin tum ne kiya
baat sachchi thi magar wo bad-guman hone laga
panw ki aahaT ne mujh ko gor mein chaunka diya
hichkiyon ka saz dil ka tarjuman hone laga
kaisi KHush-fahmi tumhein kis baat ka gharra 'umid'
aa gae hain aqraba waqt-e-azan hone laga
Ghazal
Tham zara waqt-e-ajal didar-e-jaan hone laga
Ummeed KHwaja