tham gaya dard ujala hua tanhai mein
barq chamki hai kahin raat ki gahrai mein
bagh ka bagh lahu rang hua jata hai
waqt masruf hai kaisi chaman-arai mein
shahr viran hue bahr bayaban hue
KHak uDti hai dar o dasht ki pahnai mein
ek lamhe mein bikhar jata hai tana-bana
aur phir umr guzar jati hai yakjai mein
us tamashe mein nahin dekhne wala koi
is tamashe ko jo barpa hai tamashai mein
Ghazal
Tham gaya dard ujala hua tanhai mein
Ahmad Mushtaq