اردو हिंदी
Thakna bhi lazmi tha kuchh kaam karte karte | Shaahi Shayari
thakna bhi lazmi tha kuchh kaam karte karte

Ghazal

Thakna bhi lazmi tha kuchh kaam karte karte

Zafar Iqbal

;

thakna bhi lazmi tha kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gaya hun aaram karte karte

andar sab aa gaya hai bahar ka bhi andhera
KHud raat ho gaya hun main sham karte karte

ye umr thi hi aisi jaisi guzar di hai
badnam hote hote badnam karte karte

phansta nahin parinda hai bhi isi faza mein
tang aa gaya hun dil ko yun dam karte karte

kuchh be-KHabar nahin the jo jaante hain mujh ko
main kuch kar raha tha bisram karte karte

sar se guzar gaya hai pani to zor karta
sab rok rukte rukte sab tham karte karte

kis ke tawaf mein the aur ye din aa gae hain
kya KHak thi ki jis ko ehram karte karte

jis moD se chale the pahunche hain phir wahin par
ek raegan safar ko anjam karte karte

aaKHir 'zafar' hua hun manzar se KHud hi ghaeb
uslub-e-KHas apna main aam karte karte