thakan se rah mein chalna muhaal bhi hai mujhe
kamal par bhi tha main hi zawal bhi hai mujhe
saDak pe chalte hue ruk ke dekhta hun main
yahin kahin hai tu ye ehtimal bhi hai mujhe
ye mere gird tamasha hai aankh khulne tak
main KHwab mein to hun lekin KHayal bhi hai mujhe
usi ke lutf se marne se KHauf aata hai
usi ke Dar se ye jina muhaal bhi hai mujhe
sawad-e-sham-e-safar hai jala jala sa 'munir'
KHushi ke sath ajab sa malal bhi hai mujhe
Ghazal
Thakan se rah mein chalna muhaal bhi hai mujhe
Muneer Niyazi