اردو हिंदी
Thakan se chur hun lekin rawan-dawan hun main | Shaahi Shayari
thakan se chur hun lekin rawan-dawan hun main

Ghazal

Thakan se chur hun lekin rawan-dawan hun main

Aziz Bano Darab Wafa

;

thakan se chur hun lekin rawan-dawan hun main
nai sahar ke charaghon ka karwan hun main

hawaen mere waraq lauT lauT deti hain
na jaane kitne zamanon ki dastan hun main

har ek shahr-e-nigaran samajh raha hai mujhe
zara qarib se dekho dhuan dhuan hun main

kisi se bhiD mein chehra badal gaya hai mera
to sare aaina-KHanon se bad-guman hun main

main apni gunj mein khoi hun ek muddat se
mujhe KHabar nahin kuchh kaun hun kahan hun main

KHud apni did se mahrum hai nazar meri
azal se surat-e-nazzara darmiyan hun main

mera wajud-o-adam raaz hai hamesha se
wahan wahan bhi nahin hun jahan jahan hun main