thakan se chur badan dhul mein aTa sar tha
main jab gira to mere samne mera ghar tha
tahi-e-samar shajar-e-KHwab kuchh niDhaal se the
zamin pe sukhi hui pattiyon ka bistar tha
usi ki aab thi us shab mein raushni ki lakir
wo ek shaKHs ki jo kanch se bhi kam-tar tha
nahin ki gard hain sat aasman hi gardish mein
zamin ki tarah mere panw mein bhi chakkar tha
main aaj bhi usi basti mein ji raha hun jahan
kisi ke hath mein KHanjar kisi ke patthar tha
baDha ke hath KHizan ki ruton ne noch liya
hawa ke jism pe jo KHushbuon ka zewar tha
saron pe abr-kusha dhup ki tamazat thi
'najib' zer-e-qadam ret ka samundar tha

Ghazal
Thakan se chur badan dhul mein aTa sar tha
Najeeb Ahmad