thakan ko oDh ke bistar mein ja ke leT gae
hum apni qabr-e-muqarrar mein ja ke leT gae
tamam umr hum ek dusre se laDte rahe
magar mare to barabar mein ja ke leT gae
hamari tishna-nasibi ka haal mat puchho
wo pyas thi ki samundar mein ja ke leT gae
na jaane kaisi thakan thi kabhi nahin utri
chale jo ghar se to daftar mein ja ke leT gae
ye bewaquf unhen maut se Daraate hain
jo KHud hi saya-e-KHanjar mein ja ke leT gae
tamam umr jo nikle na the haweli se
wo ek gumbad-e-be-dar mein ja ke leT gae
sajae phirte the jhuTi ana jo chehron par
wo log qasr-e-sikandar mein ja ke leT gae
saza hamari bhi kaTi hai baal-bachchon ne
ki hum udas hue ghar mein ja ke leT gae
Ghazal
Thakan ko oDh ke bistar mein ja ke leT gae
Munawwar Rana

