thakan ko jam karen aarzu ko baada karen
sukun-e-dil ke liye dard ka iada karen
ubharti Dubti sanson pe munkashif ho jaen
sulagti garm nigahon ko phir labaada karen
bichhaen dasht-nawardi junun ki rahon mein
firaq shahr-e-rifaqat mein istada karen
tumhaare shahr ke aadab bhi ajib se hain
ki dard kam ho magar aah kuchh ziyaada karen
ye sard raat nigal legi saaton ka wajud
jalaen shaKH-e-badan aur istifada karen
Ghazal
Thakan ko jam karen aarzu ko baada karen
Raghib Akhtar