اردو हिंदी
Thakan ki talKHiyon ko armughan anmol deti hai | Shaahi Shayari
thakan ki talKHiyon ko armughan anmol deti hai

Ghazal

Thakan ki talKHiyon ko armughan anmol deti hai

Taufeeq Sagar

;

thakan ki talKHiyon ko armughan anmol deti hai
teri boli meri chae mein chini ghol deti hai

na jaane muntazir kis ki hai ek nadan si laDki
koi aahaT jo sunti hai daricha khol deti hai

kahan kanTe bichhe honge kidhar se aaenge patthar
meri man KHwab mein aa kar mujhe sab bol deti hai

kahin par baiTh kar sunsan rasta sham tak dekho
mohabbat apne Darame mein yahi ek rol deti hai

ye tanha raat raaton ke alawa kuchh nahin deti
magar kuchh hath mein deti hai to anmol deti hai

kabhi faqa-kashi ka gham na chhat ki fikr hai lekin
gharibi beTiyon ka pahle zewar mol deti hai

kabhi darwesh ban jao to mil jae shahanshahi
kabhi to baadshahat hath mein kashkol deti hai

hamare ganw ke kheton mein 'sagar' phul khilte hain
wo miTTi aur hogi jo tumhein pistol deti hai