thakan ke sath baDha halqa-e-nazar mera
hua na KHatm kisi moD par safar mera
ubur kar lun abhi zindagi ka virana
khaDa hua hai magar raste mein Dar mera
bhaTak raha hun main haalat ke andheron mein
chamak raha hai tere aansuon se ghar mera
mila jo qurb to raushan hue sabhi KHake
taras raha tha usi aag ko hunar mera
KHud apne aap ko samjha ke lauT aaya hun
koi bhi bas na chala jab hujum par mera
wo shor tha na suni apne jism ki aawaz
bula raha tha mujhe kab se ham-safar mera
main ghar gaya hun makanon ke darmiyan 'rashid'
paDa nahin abhi saya zamin par mera

Ghazal
Thakan ke sath baDha halqa-e-nazar mera
Mumtaz Rashid