thakan ka bojh badan se utarte hain hum
ye sham aur kahin par guzarte hain hum
qadam zamin pe rakkhe hamein zamana hua
so aasman se KHud ko utarte hain hum
hamari ruh ka hissa hamare aansu hain
inhen bhi shauq-e-aziyyat pe warte hain hum
hamari aankh se ninden uDane lagta hai
jise bhi KHwab samajh kar pukarte hain hum
hum apne jism ki poshak ko badalte hain
naya ab aur koi rup dhaarte hain hum
Ghazal
Thakan ka bojh badan se utarte hain hum
Ramzi Asim