اردو हिंदी
Thaka le aur daur-e-asman tak | Shaahi Shayari
thaka le aur daur-e-asman tak

Ghazal

Thaka le aur daur-e-asman tak

Riyaz Khairabadi

;

thaka le aur daur-e-asman tak
phir aaKHir gardish-e-qismat kahan tak

baDi us dil ki betabi yahan tak
hamin hamin hum hain zamin se aasman tak

dam-e-wada unhen hai bar han tak
zaban thak jae jo ai be-zaban tak

mujhe pina paDe aaKHir wo aansu
jo bhar jate zamin se aasman tak

koi sau bar uDe sau bar baiThe
qafas se yun hum aae aashiyan tak

gila bhi tha kisi ka raaz koi
ki aa kar rah gaya meri zaban tak

salamat hain agar mere par-o-baal
qafas jaega uD kar aashiyan tak

meri bedariyan bekar kyun jaen
unhen pahuncha do chashm-e-pasban tak

kuchh us ne is tarah kaTi meri baat
ki TukDe ho gai meri zaban tak

junun se hum na kotahi karenge
hamara hath pahunchega jahan tak

KHudaya mere sajde dur hi se
pahunch jaen kisi ke aastan tak

sahaara kuchh to darmandon ko hota
pahunch jate jo gard-e-karwan tak

meri fariyaad sun kar chup rahenge
use pahunchaenge wo aasman tak

mujhi par chhoD do meri mai-e-talKH
maza us ka hai kuchh meri zaban tak

kalisa-o-haram donon hain aabaad
mere naqus tak meri azan tak

kuchh aisa rabt hai sayyaad ke sath
hamin hum hain qafas se aashiyan tak

hamin Thukraate jaen jo wahan jaen
pahunch jaen yunhi hum aastan tak

maasi ke siwa do do farishte
inhen lade phirun yarab kahan tak

pahunch jaun jo yarab mai-kade mein
mera pani bhare pir-e-mughan tak

wo KHugar nala-e-dushman ka ho jae
na sunta ho jo harf-e-dastan tak

'riyaz' aane mein hai un ke abhi der
chalo ho aaen marg-e-na-gahan tak