thak ke baiTha tha ki manzil nazar aai mujh ko
hausla dene lagi aabla-pai mujh ko
nazr kar dete hain wo apni kamai mujh ko
sar uThane nahin dete mere bhai mujh ko
main jahan jata hun is paikar-e-nuri ke siwa
aur kuchh bhi nahin deta hai dikhai mujh ko
is sitam-pesha ne qurbat ka na marham rakkha
umr-bhar deta raha zaKHm-e-judai mujh ko
mushkilon mein bhi mere hausle shadab rahe
rok sakti hi nahin waqt ki khai mujh ko
main to har sans ko deta raha jine ka KHiraj
zindagi phir bhi kabhi ras na aai mujh ko
us se barham main nahin phir bhi magar mera harif
umr-bhar deta raha apni safai mujh ko
tere aane ki KHabar ne mujhe bechain rakha
so gaya chand magar nind na aai mujh ko
isi ummid pe marmar ke jiye jata hun
wo meri qaid se kab dega rihai mujh ko
mujh se kuchh sunne pe aamada na thi KHalq-e-KHuda
umr-bhar us ne magar apni sunai mujh ko
ek nae gham se shanasa kiya mahrumi ne
zindagi jab bhi teri bazm mein lai mujh ko
wo bhi sharminda nazar aata hai 'nuri' akasr
nazar aati hi nahin jis mein burai mujh ko

Ghazal
Thak ke baiTha tha ki manzil nazar aai mujhko
Mushtaq Ahmad Noori