Thahri Thahri si tabiat mein rawani aai
aaj phir yaad mohabbat ki kahani aai
aaj phir nind ko aankhon se bichhaDte dekha
aaj phir yaad koi choT purani aai
muddaton baad chala un pe hamara jadu
muddaton baad hamein baat banani aai
muddaton baad pasheman hua dariya hum se
muddaton baad hamein pyas chhupani aai
muddaton baad khuli wusat-e-sahra hum par
muddaton baad hamein KHak uDani aai
muddaton baad mayassar hua man ka aanchal
muddaton baad hamein nind suhani aai
itni aasani se milti nahin fan ki daulat
Dhal gai umr to ghazlon pe jawani aai
Ghazal
Thahri Thahri si tabiat mein rawani aai
Iqbal Ashhar