اردو हिंदी
Thahre to kahan Thahre aaKHir meri binai | Shaahi Shayari
Thahre to kahan Thahre aaKHir meri binai

Ghazal

Thahre to kahan Thahre aaKHir meri binai

Asrarul Haq Asrar

;

Thahre to kahan Thahre aaKHir meri binai
har shaKHs tamasha hai har shaKHs tamashai

ye husn ka dhoka bhi dil ke liye kafi tha
chhune ke liye kab thi mahtab ki unchai

aaine ki hajat se inkar nahin lekin
is darja na tha pahle dastur-e-KHud-arai

sarmaya-e-dil aaKHir aur is ke siwa kya hai
har dard se rishta hai har gham se shanasai

patthar sa haTe dil se kuchh mujh ko bhi kahne do
go talKH to guzregi tum ko meri sachchai

shikwa na karen hum bhi bharpur tawajjoh ka
dekha na karo tum bhi har zaKHm ki gahrai

duniya se nirala hai 'asrar' chalan apna
tanhai mein mahfil hai mahfil mein hai tanhai