اردو हिंदी
Thahre pani mein nihan ek hasin KHwab bhi hai | Shaahi Shayari
Thahre pani mein nihan ek hasin KHwab bhi hai

Ghazal

Thahre pani mein nihan ek hasin KHwab bhi hai

Ehtisham Akhtar

;

Thahre pani mein nihan ek hasin KHwab bhi hai
aur usi jhil mein aks-e-ruKH-e-mahtab bhi hai

dasht-e-tanhai ke tapte hue virane mein
teri yaadon ka hai ek peD jo shadab bhi hai

par karna baDa mushkil hai ki ye bahr-e-hawas
kahin gahra hai bahut aur kahin payab bhi hai

us ki taswir mein aankhon mein basa lun ki ye shai
lakh arzan sahi mere liye nayab bhi hai

yun to lagta hai samundar baDa KHamosh magar
us ke sine mein nihan karb ka sailab bhi hai

ye tamannaon ki sukhi hui naddi 'aKHtar'
apni aankhon mein sajae hue ek KHwab bhi hai