Thahre hue na bahte hue paniyon mein hun
ye main kahan hun kaisi pareshaniyon mein hun
ek pal ko bhi sukun se jina muhaal hai
kin dushmanan-e-jaan ki nigahbaniyon mein hun
yun jal ke rakh KHwab ke paikar hue ki bas
ek aaina bana hua hairaniyon mein hun
jab rah sahl thi to baDi mushkilon mein tha
ab rah hai kaThin to kuchh aasaniyon mein hun
aasan nahin hai itna ki bik jaun us ke hath
arzan nahin hun KHwah farawaniyon mein hun
mujh ko bhi ilm KHub hai sab madd-o-jazr ka
main bhi to sab ke sath inhin paniyon mein hun
'mohsin' tamam-tar sar-o-saman ke bawajud
puchho na kitni be-sar-o-samaniyon mein hun
Ghazal
Thahre hue na bahte hue paniyon mein hun
Mohsin Zaidi