اردو हिंदी
Thahra wahi nayab ki daman mein nahin tha | Shaahi Shayari
Thahra wahi nayab ki daman mein nahin tha

Ghazal

Thahra wahi nayab ki daman mein nahin tha

Zeb Ghauri

;

Thahra wahi nayab ki daman mein nahin tha
jo phul chuna main ne wo gulshan mein nahin tha

thi mauj lapakti hui mere hi lahu ki
chehra koi diwar ke rauzan mein nahin tha

KHakistar-e-jaan ko meri mahkae tha lekin
juhi ka wo pauda mere aangan mein nahin tha

aaKHir main hadaf apna banata bhi to kis ko
mera koi dushman saf-e-dushman mein nahin tha

chheDa to bahut sabz hawaon ne magar 'zeb'
shoala hi koi KHak ke KHirman mein nahin tha